Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Lyrics – Asha Bhosle

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai जब इश्क़ कहीं हो जाता है lyrics by Mubarak Begum, Asha Bhosle is a Hindi song from movie Arzoo composed by Shankar-Jaikishan while penned by Hasrat Jaipuri. Movie directed by Ramanand Sagar starring Rajendra Kumar, Sadhana, Feroz Khan in the lead role having music label Saregama India Limited.

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Song Credits

Song Title – Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai
Movie – Arzoo (1965)
Director – Ramanand Sagar
Starring – Rajendra Kumar, Sadhana, Feroz Khan
Music – Shankar-Jaikishan
Singer – Mubarak Begum, Asha Bhosle
Lyricist – Hasrat Jaipuri
Music Label – Saregama India Limited

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Song Lyrics in English

Aadab arz hai
Aadab arz hai
Taslim taslim

Jab ishq kahin ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai

Jab ishq kahin ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai
Jab ishq kahin ho jata hai

Yeh ishq chhupaye chhup na saka
Yeh ishq woh chalta jadoo hai
Haye kuch hosh nahi rehte kayam
Iss ishq pe kis ka kaabu hai

Hai ishq mein pech-o-kham itne
Goya mehboob ka gesu hai
Har janib failti jati hai
Iss ishq ki aisi khusbu hai

Chehre se haya ho jati hai
Kya cheez mohabbat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai

Jab ishq kahin ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai
Jab ishq kahin ho jata hai

Avval to kabhi neend aati nahi
Aati hai to khwab satate hain
Dastein hain judayi ki ghadiyan
Tanhayi ke din tadpate hain

Ghut’ta hai gala rukata hai yeh dam
Aansoo ke diye tharrate hain
Sapnon mein woh milne aate hain
Gham deke chale bhi jaate hain

Har roz yeh mele hote hain
Har roz qayamat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai

Jab ishq kahin ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai
Jab ishq kahin ho jata hai

Ankhon mein hain lakho afsaane
Khamosh hai lab woh manzil hai
Har saans mein lakhon toofan hain
Toofan mein dil ka sahil hai

Armaan machalte rehte hain
Yeh dard bada hi kaatil hai
Roke se qayamat ruk jaye
Par rokna dil ka muskil hai

Didaar ki pyaasi anhkon ko
Didaar ki hasrat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai

Jab ishq kahin ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mehfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki aadat hoti hai
Jab ishq kahin ho jata hai

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Song Lyrics in Hindi

आदाब अर्ज़ है
आदाब अर्ज़ है
तसलीम तसलीम

जब इश्क़ कहीं हो जाता है
तब ऐसी हालत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है

जब इश्क़ कहीं हो जाता है
तब ऐसी हालत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है
जब इश्क़ कहीं हो जाता है

ये इश्क़ छुपाये छुप ना सका
ये इश्क़ वो चलता जादू है
हाए कुछ होश नहीं रहते कायम
इस इश्क़ पे किसका क़ाबू है

है इश्क़ में पेच-ओ-ख़म इतने
गोया महबूब का गेसु है
हर जानिब में फैलती जाती है
इस इश्क़ की ऐसी खुसबू है

चेहरे से हया हो जाती है
क्या चीज़ मोहब्बत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है

जब इश्क़ कहीं हो जाता है
तब ऐसी हालत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है
जब इश्क़ कहीं हो जाता है

अव्वल तो कभी नींद आती नहीं
आती है तो ख्वाब सताते हैं
डस्टें हैं जुदाई की घड़ियाँ
तन्हाई के दिन तड़पाते हैं

घुटता है गला रुकता है ये दम
आँसू के दिए थर्राते हैं
सपनों में वो मिलने आते हैं
ग़म देके चले भी जाते हैं

हर रोज़ ये मेले होते हैं
हर रोज़ क़यामत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है

जब इश्क़ कहीं हो जाता है
तब ऐसी हालत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है
जब इश्क़ कहीं हो जाता है

आँखों में हैं लाखो अफ़साने
खामोश है लब वो मंज़िल है
हर साँस में लाखों तूफ़ान हैं
तूफ़ान में दिल का साहिल है

अरमान मचलते रहते हैं
ये दर्द बड़ा ही कातिल है
रोके से क़यामत रुक जाये
पर रोकना दिल का मुश्किल है

दिलदार की पयासी आँखों को
दीदार की हसरत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है

जब इश्क़ कहीं हो जाता है
तब ऐसी हालत होती है
महफ़िल में जी घबराता है
तन्हाई की आदत होती है
जब इश्क़ कहीं हो जाता है

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Video

Found mistake in lyrics? We will rectify it. Please specify the error & mail us at [email protected]