Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha जरूरी था lyrics by Rahat Fateh Ali Khan is a Hindi song from album Back 2 Love composed by Sahir Ali Bagga while penned by Khalil-Ur-Rehman Qamar starring Kushal Tandon, Gauhar Khan having music label Universal Music India Pvt. Ltd.

Zaroori Tha Song Credits

Song Title – Zaroori Tha
Album – Back 2 Love
Starring – Kushal Tandon, Gauhar Khan
Music – Sahir Ali Bagga
Singer – Rahat Fateh Ali Khan
Lyricist – Khalil-Ur-Rehman Qamar
Music Label – Universal Music India Pvt. Ltd.

Zaroori Tha Song Lyrics in English

Lafz kitne hi
Tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat
Mera jalaya hoga
Tune jab phool
Kitabon se nikale honge
Dene wala bhi tujhe
Yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka
Utarrna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ke hum dono
Tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzuon ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarrna bhi zaroori tha

Batao yaad hai tumko
Woh jab dil ko churaya tha
Churai cheez ko tumne
Khudka ghar banaya tha

Woh jab kehte the mera naam
Tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki namazo ko
Qaza karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton me
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Wahi hai sooratein apni
Wahin main hoon wahi tum ho
Magar khoya huva hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat me mein daga ki thi
So kaafir the so kafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musafir the musafir hain

Tere dil ke nikaale hum
Kahan bhatke kahan pahunche
Magar bhatke toh yaad aya
Bhatakna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ke hum dono
Tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzuon ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya
Ka utarna bhi zaroori tha

Zaroori Tha Song Lyrics in Hindi

लफ्ज़ कितने ही
तेरे पैरो से लिपटे होंगे
तूने जब आखरी ख़त
मेरा जलाया होगा
तूने जब फुल
किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे
याद तो आया होगा

तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी जरूरी था
मोहब्बत भी जरूरी थी
बिछड़ना भी जरूरी था

जरूरी था के हम दोनों
तवाफ़-ए-आरजू करते
मगर फिर आरजुओं का
बिखरना भी जरूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी जरूरी था

बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
खुदा का घर बनाया था

वो जब कहते थे मेरा नाम
तुम तस्बीह में पड़ते हो
मोहब्बत की नामजो को
कज़ा करने से डरते हो

मगर अब याद आता है
वो बाते थी महज बाते
कहीं बातो ही बातो में
मुकरना भी जरूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी जरूरी था

वही है सूरते अपनी
वही मैं हूं वही तुम हो
मगर खोया हुआ हु मैं
मगर तुम भी कही गुम हो

मोहब्बत में दगा की थी
सो काफ़िर थे सो काफ़िर है
मिली है मंजिले फिर भी
मुसाफिर थे मुसाफिर है

तेरे दिल के निकाले हम
कहा भटके कहा पहुचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी जरूरी था

मोहब्बत भी जरूरी थी
बिछड़ना भी जरूरी था
जरूरी था के हम दोनों
तवाफ़-ए-आरजू करते

मगर फिर आरजुओं का
बिखरना भी जरूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी जरूरी था

Zaroori Tha Video

Found mistake in lyrics? We will rectify it. Please specify the error and email us at [email protected]